crated creater

Tuesday, December 20, 2005

pehle do kadam

farman hai ye zindagi ki uski hai khwahish
nishan hai kisi ka ya yaadon ki numaish

sawalon ke jawab gar yoon hi mila karte
baaton ki har tah gar yoon hi samajh liya karte
jaane tab kya hamari zindagi hoti
intazar ki misaal nahi, khushgavar hoti

pehle do kadam to hamne badha diye hain
apne khayalon se baahar ham aa gaye hain
par shayad hi iska koi nateeja hoga
har baar ki tarah sab gavara hoga

0 Comments:

Post a Comment

<< Home